Posts

Showing posts from January, 2018

Agar payar jo karo is zamane main tum, Behtar hai chalti hawaon se karna

Image
Gar pyar jo karo is zamany main tum Behtar hai chalti hawaon se karna Is havus ki duniya main pyar nahi hai Nazar jo ata hai insaan wo insan nahi hai Gar acha lagy koi to keh dena us se Is duniya main pyar nahi hai Mujhe hona barbad nahi hai Meri baat tum mano pyar na karna Gar payar karo to hawaon se karna Jana payas bujhany ko pyar nahi kehty Do jismon ke milne ko pyar nahi kehty Yun payar ke lafz ko barbad na karna Is duniya main tum pyar na karna Gar pyar karo to hawaon se karna  Kabhi na jany wali bahar se karna

Shehr ki ajnabi galion main meri muhabbat mujh se kho gai

Image
Shehr Ki Ajnabi Galiyun Main Meri Mohabat Mujh Se Kho Gai, Tu Mujh Se Bechar Gya Kahen Main Tanha Tanha C Ho Gai, Jab Dekha Kisi Ko Kisi K Saath Main Tuje Yaad Kr Ky Ro Gai Teri Judai Main Yun Barsen Aankhen Ky Barssat Mera Daman Bheego Gai Mujhe Ab Kisi Se Kya Gila Karna Azia Jab Khud Meri Qismat He So Gai,

Chalo tum raaz ho apna tumhain afshaa nai karte

Image
Chalo Tum Raaz Ho Apna Tumhein Afsha Nahi Karte,, Suno Jisko Chaha Jaye Usey Chora Nahi Karte,, Jisey Shaffaf Rakhna Ho Usey Maila Nahi Karte, Jo Bass Jata Hai Dharkan Main Usey Bhoola Nahi Karte,, Kisi Ko Dil Dete Waqt Bohat Socha Nahi Karte,, Jo Pehle Say Hi Tanha Ho Usey Tanha Nahi Karte,, Suno Yaadein Satayen Gi Magar Roya Nahi Karte,, Suno Tum Yaad Aate Ho Aur Hum Soya Nahi Karte

Jab sunta hi nahi wo hum baat kya karen

Image
Jab Sunta He Nahi Wo Ham baat Kya Karen Bewaja yahan us Se Sawalat Kya Karen Usay Gila hai Ham Usay Yaad Nahe Krty Bholty he Nahe Jo Unhy Yaad kya karen Jab Saans Ka Aana He Dushwaar Ho Gya Saqi Ayse Main Ham Ah-o-Pukar Kya Karen Nazuk Dil Tha Apna Anjam-e-ishq Main Toot Gya Kaise Howa Ye Hadsa Sar-e-aam Iqrar Kya Karen Sab Kuch To Lut Gya Apna Ishq Wafa Main Ab Tumhi Batao Gaye Maal Ka Hisaab Kya Karen Ham Ne To Tarap Main Kaha Marr Gaye ASAD Wo Ye Keh Kar Palat Gaye Ab Mulaqat Kya Karen

Ik diya dil mein jalana bhi, bhuja bhi dena

Image
Ik Diya Dil Mein Jalana Bhi, Bhuja Bhi Dena Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena Kia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi Dena Phir Na Milne Ko Bicharta Tou Hon Tuj Se Lekin Mur Ke Dekhon Tu Paltne Ki Dua Bhi Dena Khat Bhi Likhna Use, Mayus Bhi Rehna Us Se Jurm Karo Abhi Mgar Khud Ko Saza Bhi Dena Muj Ko Rasmo Ka Tsawur Bhi Gwara Lekin Jee Mein Aye To Ye Dewaar… Gira Bhi Dena Usi Se Mansoob Bhi Kar Lena Purane Qisay Us Ke Balon Mein Naya Phool Saja Bhi Dena Sorat Naqsh E Qadam Dasht Mein Rehna Mohsin Apne Hone Se Na Hone Ka Pta Bhi Dena

Roz taaron ko numaish mein khalal parta hai

Image
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai Chand Pagal Hai Andheray Mein Nikal Parta Ha Aik Dewana Musafir Hai Meri Aankhon Mein Waqt Be Waqt Thehrta Hai Chal Parta Hai Apni Tabeer Ke Chakar Mein Mera Jagta Khwab Roz Suraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Parta Hai Roz Pathar Ki Hamayat Mein Ghazal Likhte Hain Roz Sheshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai Us Ki Yaad Ayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo Dharkno Se Bi Ibadat Mein Khalal Parta Hai

Kisi se apna yarana nahi raha

Image
Kisi Se Apna Yarana Nahi Raha Yahan Koi Yaar Purana Nahi Raha Khana Badoshon Jesi Hai Zindgani Kisi Dil Mein Ab Thikana Nahi Raha Pyar Ke Badle Sada Nafrat Mili Hai Ab Mera Mizaj Aashqana Nahi Raha Aaj Kal Us Ka Koi Pegham Nahi Aya Shayad Us Ka Ishq Bhi Baghyana Nahi Raha Sochta Hun Us Se Kese Milne Jaon Mere Pass Bi Koi Bahana Nahi Raha

Tu na dekha hai kabhi aik nazar sham ke baad

Image
Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad Itne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad Mein Ne Aaise Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye Jese Tofan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad Shaam Se Pehle Wo Mast Apni Uranon Mein Raha Jis Ke Hathon Mein Thay Tote Hoye Par Shaam Ke Baad Raat Beti Tu Gine Aable Aur Phir Socha Kon Tha Ba-is Aaghaz-e Safar Shaam Ke Baad Tu Hai Suraj Tuje Maloom Kahan Raat Ka Dukh Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad Lot Aye Na Kisi Roz Wo Aawara Mizaj Khol Rakhte Hai Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

Gar dua bhi koi cheez hai to dua ke hawale kiya

Image
Gar Dua Bhi Koi Cheez Hai Tu Dua Ke Hawale Kiya Ja Tuje Aaj Se Ham Ne Apne Khuda Ke Hawale Kiya Aik Mudat Hoyi Ham Ne Dunya Ki Har Zid Chor Di Aik Mudat Hoyi Ham Ne Dil Ko Wafa Ke Hawale Kiya Is Tarah Ham Ne Teri Mohabat Zamane Ke Hathon Mein Di Jis Tarah Gul Ne Khushbu Ko Bad-e Saba Ke Hawale Kiya Bay-Basi Se Ajab Zindagi Mein Ik Aesi Bhi Ayi Keh Jab Ham Ne Chup Chap Hathon Ko Rasm-e Hina Ke Hawale Kiya Khoon Ne Teri Yaadain Sulagti Hoyi Raat Ko Sonp Den Aansuon Ne Tera Dard Rokhi Hawa Ke Hawale Kiya

Aisa nahi ke un se muhabbat nahi rahi

Image
Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi, Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi, Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha, Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi, Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya, Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi, Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya, Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi, Allah jaane maut kahan mar gayi Sagar, Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..

Andheron main bhatakna hai pereshani main rehna hai

Image
Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai, Main jugnuu hoon mujhe ik shab ki veerani main rehna hai, Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai, Abhi ashkon ko palkon ki nigehbaani main rehna hai, Jo manzar rubaru hai dekh luun ik baar jee bhar ke, Phir is ke baad to aankhon ko hairaani main rehna hai, Teri wehshat samajhta hoon ae meri aarzuu lekin, Tujhe kuch din abhi is dil ki veerani main rehna hai, Tu phir kyun laut kar har baar aa jati hai saahil pr, Agar in kashtiyon ko umar bhar paani main rehna hai, Issi umeed pr to kaat leen yeh mushkilen hum ne, Ab is ke baad to ae ‘sagar‘ aasaani main rehna hai..

Safar ma dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

Image
Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo, Kisi ke vaastay raahen kahan badalti hain, Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo, Yahan kisi ko koi rasta nahin deta, Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo, Kahin nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa, Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo, Yehi hai zindagi kuch khawb, chand umeeden, Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..

Tamam umar jale magar raushni nahi ki

Image
Tamaam umar jale magar raushni nahin ki, Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ji, Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain, Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki, Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya, Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki, Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir, Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki, Meri sipaah se duniya larazne lagi hai, Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki, Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon Asad, Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki..

Tu mujh ko jo is sheher main laya nahi hota

Image
Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota, Main be-saro-samaan kabhi ruswaa nahin hota, Us ki to yeh aadat hai kissi ka nahin hota, Phir is main ajab kya ke hamara nahin hota, Kuch pairr bhi be-faiz hain is rahguzar main, Kuch dhoop bhi aesi hai ke saaya nahin hota, Khawbon main jo ik sheher bana deta hai mujh ko, Jab aankh khuli ho to woh chehra nahin hota, Kiss ki hai yeh tasveer jo banti nahin mujh se, Main kis ka taqaaza hoon ke pura nahin hota, Main sheher main kis shakhss ko jeene ki dua doon, Jeena bhi to sab ke liye acha nahin hota..

Mere charon taraf hai dasht-e-be-paayan kahan ho tum

Image
Mere chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum? Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum? Mujhy jhala rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum? Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum? Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo! Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum? Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum? Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai! Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

Khud apny liye beth kar sochen gy kisi din

Image
خود اپنے لیۓ بیٹھ کہ سوچیں گے کسی دن یوں ہے کہ تجھے بھول کہ دیکھیں گے کسی دن بھٹکے ہوۓ پھرتے ہیں کئی لفظ جو دل میں دنیا نے دیا وقت تو لکھیں گے کسی دن ہل جائیں گے اک بار تو عرشوں کے در و بام یہ خاک نشیں لوگ جو بولیں گے کسی دن آپس کی کسی بات کا ملتا ہی نہیں وقت ہر بار یہ کہتے ہیں کہ بیٹھیں گے کسی دن اے جان تیری یاد کے بے نام پرندے شاخوں پہ میرے درد کی اتاریں گے کسی دن جاتی ہیں کسی جھیل کی گہرائی کہاں تک آنکھوں میں تیری ڈوب کہ دیکھیں گے کسی دن خوشبو سے بھری شام میں جگنو کے قلم سے اک نظم تیرے واسطے لکھیں گے کسی دن سوئیں گے تیری آنکھ کی خلوت میں کسی رات سائے میں تیری زلف کے جاگیں گے کسی دن خوشبو کی طرح اصل صبا خاک نما سے گلیوں سے تیرے شہر کی گزریں گے کسی دن اسد ہے یہی اب کہ کفن باندھ کہ سر سے اس شہر ستم میں جائیں گے کسی دن

Naseeb azmany ke din aa rahy hen

Image
نصیب آزمانے کے دن آ رہے ہیں قریب ان کے آنے کے دن آرہے ہیں جو دل سے کہا، جو دل سے سنا ہے، سب ان کو سنانے کے دن آرہے ہیں ابھی سے دل وجان سر عام رکھ دو کہ لٹنے لٹانے کے دن آرہے ہیں ٹپکنے لگی ان نگاہوں سے مستی نگاہیں چرانے کے دن آرہے ہیں صبا پھرہمیں پوچھتی پھر رہی ہے چمن کو سجانے کے دن آرہے ہیں چلوفیض پھر سے کہیں دل لگایں سنا ہے ٹھکانے کے دن آرہے ہیں

Ik shakhs ko chaha tha taroon ki tarha humne

Image
Ek shakhs ko chaha tha, Taaron ki tarha humne Ek shakhs ko chaha tha, Apno ki tarha humne Ek shakhs ko samjha tha, Phoolon ki tarha humne Wo shakhs qayamat tha,  Kea uski karein batein Din us ke liye paida, Aur Uski hi thi ratein Kum milta kisi se tha, Hum say thi mulaqatein Rung uska shahabi tha, Zulfon mein thi mehkarein Aankhen theen ke jadu tha, Palken theen ke Talwaaren Dushman bhi ager dekhey, So jaan say dil harain Kuch Tumse wo milta tha, Baton mein shabahat thi Haan tumsa hi lagta tha, Shokhi mein Sharart mein Lagta bhi tumhi sa tha, Dastoor e Mohabbat mein Wo shakhs aik din humen, Apno ki tarha bhoola, Taaron ki tarha dooba, Phoolon ki tarha toota, Phir hath na aya wo, Humne to bohut dhunda! Tum kis liye chonkey ho ? Tum kis liye chonkey ho! Kab ziker tumhara hai Kab tumse takaza hai, Kab tumse shikayat hai Ek Taza Hikayat hai sunlo, To inayat hai Ek Shakhs ko chaha tha, Taaron ki tarh

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye

Image
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye, Mere azmane wale mujhe aazma ke roye, Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat, Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye, Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat, Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye, Teri bewafaon per, teri kaj’adaaon per, Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moun chupa ke roye, Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti, Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye..

Tanha tanha dukh jheelen ge mehfil mehfil gayen ge..

Image
Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge, Jab tak ansuu paas rahen ge tab tak geet sunayen ge, Tum jo socho woh tum jano hum to apni kehte hain, Dair na karna ghar aane main warna ghar kho jayen ge, Bachon ke chote hathon ko chand sitare chhune do, Chaar kitaben parh kar yeh bhi hum jese ho jayen ge, Achi surat wale sare pathar–dil hon mumkin hai, Hum to us din raaye dain ge jis din dhoka khayen ge, Kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai, Hum bhi jab thak kar bethen ge auron ko samjhayen ge..

Ehbaab ki surat ho ke aghyaar ki surat

Image
Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat, Har chehre main ati hai nazar yaar ki surat, Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon, Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat, Pehchan liya tujh ko teri sheesha-gari se, Aati hai nazar fun se hi funkaar ki surat, Surat meri ankhon main samaye gi na koi, Nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat, Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareede, Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat, Ashqon ne bayan kar hi diya raz-e-tamanna, Hum soch rahe thay abhi izhar ki surat, Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne, Inkaar ki surat hai na izhaar ki surat..

Assi Nazuk dil de lok han, sada dil na yar dukhaya kar

Image
Assi Nazuk Dil Dey Lok Han, Sada Dil na Yar Dukhaya Kar, Na Jhooty Wady Kitta Kar, Na Jhooti Qasmaan Khaya Kar, Tenu Kinni Wari Me Aakheya Ay, Menu Wal Wal Na Azmaya Kar, Teri Yad De Vich Mein Mar Ja Saan, Menu Enna Na Yad Aaya Kar…!

Her roz bhula dete ho kamal kartay ho

Image
Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Karte Ho Hansty Ko Rula Dete Ho Kamal Karte Ho Nahi Hai Mohabbat To Saaf Keh Do Kiun Umeed Barha Dete Ho Kamal Karte Ho Hum Tumhe Bhoolne Lagte Hain Jab Bhi Aa K Pyaar Jata Dete Ho Kamal Karte Ho Jante Bhi Ho K Ek Hi Diya Hai Mere Ghar Me Phir Bhi Hawa Dete Ho Kamal Karte Ho Bhoolne Ka Jo Mujhe Har Roz Kehte Ho Yoon Yaad Dila Dete Ho Kamal Karte Ho Khud Hi Kehte Ho K Nasha Haram Hai Aur Jaam Bhi Thama Dete Ho Kamal Karte Ho...

Roshni ki dhaar per rakhi kahani aur dukh

Image
Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh Aankh Se Behta Hua Khamosh Pani Aur Dukh Mere Kamray Main Usi Tarteeb Se Rakhe Hue Phool Khat, Waday, Dilasay, Ek Jawani Aur Dukh Ek Dusre Se Bichar Kar Umar Bhar Rote Rahe Raat, Sehra, Khushk Pattay, Ek Raani Aur Dukh Ab Mere Lafzon Main Wo Pehli Si Kaifiyat Nahi Daal Ab Jholi Main Teri Maherbani, Aur Dukh Raat Sehra Main Kisi Ne Baansuri Ki Nok Par Rakh Di Phir Roti Hui Yaadein Purani Aur Dukh...

Yakeen ata nahi dil ko ke aisa ho bhi sakta hai

Image
Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai Mera Hal-E-Gham Sun Kar Wo Zalim Ro Bhi Sakta Hai Kabhi Insan Akela Ho K Bhi Tanha Nahi Hota Sar-E-Mehfil Kabhi Bethy Bithaye Kho Bhi Sakta Hai Ta'ajjub Kiun Hai Tum Ko Meri Be-Gunahi Par Karam Ka Aik Qatra Dagh-E-Daman Dho Bhi Sakta Hai Kabhi Insan Ko Neend Ati Nahi Phoolon K Bistar Par Kabhi Pathar Pe Sar Rakh Kar Mazy Se So Bhi Sakta Hai Wo Kehta Hai Tumhari Khatir Sitary Tor Launga Ba-Zahir Yoon Nahi Hota Magar Yoon Ho Bhi Sakta Hai...

Ma jo mehka to meri shaakh jala di us ne

Image
Me Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne Sabz Mosam Me Mujhe Zard Hawa Di Us Ne Pehle Ek Lamhe Ki Zanjeer Me Bandha Mujh Ko Aur Phir Waqt Ki Raftar Barha Di Us Ne Janta Tha K Mujhe Maut Sakoon Bakhshe Gi Wo Sitamgar Tha So Jeeny Ki Dua Di Us Ne Us K Hone Se Thin Saanse Meri Dugni Shayad Wo Jo Bichra To Meri Umar Ghata Di Us Ne...

Husan ki jheel ho tum aur kinaray hain ye hont

Image
Husn Ki Jheel Ho Tum Aur Kinary Hain Ye Hont Sach To Ye Hai K Mujhe Jan Se Pyare Hain Ye Hont Mene Har Bar Mohabbat Se Inhain Chooma Hai Us Ne Har Bar Mohabbat Se Ubhare Hain Ye Hont Hath Honton Pe Mere Rakh K Mujhe Kehne Lage Rokiye In Ko Bohat Shoq K Mare Hain Ye Hont Band Hote Hain Ye Inkar Ki Soorat Me Magar Adh Khule Hon To Mohabbat K Ishare Hain Ye Hont Aaj Khud Apne Muqaddar Pe Mujhe Rashk Aya Aj Honton Me Mere Us Ne Utare Hain Ye Hont Choom Kar Hont Mere Us Ne Kaha Ye "Qateel" Tumhare Hain, Tumhare Hain, Tumhare Hain Ye Hont...

kion bhool gaye hum ko rishta to purana tha

Image
Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha Aik Ye Bhi Zamana Hai, Aik Wo Bhi Zamana Tha Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Suhana Tha Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha Maloom Na Tha Tum Ne Yoon Chor K Jana Tha Kiun Hum Se Khafa Ho Tum Kiun Hum Se Juda Ho Tum Kya Jurm Hua Hum Se Itna To Batana Tha Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi Tukre Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha...

Ye jo deewany se do char nazar atay hen

Image
Ye Jo Dewany Se Do Char Nazar Aty Hain In Main Kuch Sahib-E-Israr Nazar Aty Hain Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aty Hain Aur Hashar K Din Kya Bany Ga Mera Yahan Sab Tere Tarafdar Nazar Aty Hain...

Hum ko maloom hai anjam humara murshad

Image
Hum Ko Maloom Hai Anjam Humara Murshad Is Samandar Ka Nahi Koi Kinara Murshad Hum Hi Aye Ishq Tere Paun Pary The Aa Kar Dosh Ab Is Me Nahi Koi Tumhara Murshad Ab To Jo Kuch Hai Shab-E-Hijr Tere Hath Me Hai Khak Kar De Ya Bana De Mujhe Taara Murshad Me Agar Dasht Nahi Dasht Numa Ban Jaun Is Se Kam Par Nahi Hona Guzara Murshad Dasht Ki Khaak Urany Pe Hua Hun Mamoor Koi Tambeeh Mujhe, Koi Ishara Murshad Yehi Kafi Hai Tera Hijr Nazar Ata Hai Is Ki Tadfeen Nahi Hum Ko Ganwara Murshad Aj Samjha Hun Mohabbat Ki Kahani Mohsin Aj Samjha Hun Kise Kehte Hain Khasara Murshad...

Sada si hai bat me likhne betha hun, Dil ke sub halaat main likhny betha hun

Image
Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun Dil K Sub Halaat Me Likhne Betha Hun Koi Nahi Hai Sunta Phir Bhi Jane Kiun Apne Sub Jazbaat Me Likhne Betha Hun Sath Guzary The Jo Uski Qurbat Me Beety Wo Lamhaat Me Likhne Betha Hun Bheegy The Hum Dono Jis Me Jee Bhar K Wo Mosam-E-Barsaat Me Likhne Betha Hun Us Ne Mujhe Ko Chora Beech Do-Raahy Par Kese Hui Maat Me Likhne Betha Hun Lub Par Mere Aksar Jo Ata Hi Nahi Naam Wohi Din Rat Me Likhne Betha Hun Unki Bat Kya Likhni Lafzon Me ASAD Apne Hi Khayalaat Me Likhne Betha Hun...

Kab duaon ka muhtaj hota ha,ishq to la-elaaj hota hai

Image
Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai Ishq To La-Elaaj Hota Hai Is K Apne Asool Hote Hain Is Ka Apna Riwaaj Hota Hai Ishq K Ain Se Ibadat Hai Ishq Rooh Ka Anaaj Hota Hai Ishq Jismon Ko Sar Nahi Karta Is Ka Zehno Pe Raaj Hota Hai Ishq Me Shah Faqeer Hota Hai Ishq Kanton Ka Taaj Hota Hai Ishq Me Koi Had Nahi Hoti Ishq Me Kal Na Aaj Hota Hai Ishq Khud Hi Zulm Karta Hai Ishq Khud Ehtajaaj Hota Hai...

Tum meri ankh k taiwar na bhul paoge

Image
Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga...

Is dard ki duniya se guzar kion nahi jate

Image
Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

Yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo

Image
Yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo woh ghazal ki sacchi kitaab hai, usey chupke chupke parha karo. Koi haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se, ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo. Abhi raah mein kayi mor dain, koi aayega koi jaayega tumhen jis ne dil se bhula diya, usey bhoolne ki dua karo. Mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaaniyan, jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo. Kabhi husn-e pardanashin bhi ho zara aashiqana libaas mein, jo main ban sanwar ke kahin chalun, mere saath tum bhi chala karo. Ye khizan ki zard si shaal mein, jo udaas drakht ke paas hai ye tumhaare ghar ki bahaar hai, isey aansuon se hara karo. !!

Wo aksar mujh se kehti thi,wafa ha zaat aurat ki..

Image
Woh aksar mujh se kehti thi.. Wafa hai zaat aurat ki ! Magar jo mard hote hain, Bahut bedard hote hain.. Kisi bhanwre ki soorat, Gul ki khushbu loot jaate hain, Suno, tum ko kasam ha meri.. Riwaayat tor dena tum ! Na tanha chhor ke jana tum, Na ye dil tor ke jana tum,, Magar phir yun hua ek din, Mujhe anjaan raaste par, Akela chhor kar uss ne, Mera dil tor kar uss ne, Mohabbat chhor di uss ne! Wafaa hai zaat aurat ki, Riwaayat tor di uss ne …!

Mil kar juda howe to na soya karen ge hum

Image
Mil kar juda hue toh na soya karenge hum, ek doosre ki yaad mein roya karenge hum. Aansoo chalak chalak ke sataayenge raat bhar, moti palak palak mein piroyaa karenge hum. Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaayegi jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum. Been kar har ek bazm ka mauzu-e-guftugoo, sheron mein tere ghum ko samoya karenge hum. Majbooriyon ke zehar se kar lenge khudkushi, ye buzdili ka jurm bhi goya karenge hum. Dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar, ab chaahton ke beej na boya karenge hum. Gar de gaya daghaa humen toofaan bhi ‘qateel saahil pe kashtiyon ko duboya karenge hum. !!

Honge juda hum is tarha imkaan to na tha

Image
Honge juda hum is tarah imkaan toh na tha, ye dil kabhi bhi is tarah weeraan toh na tha. ! Jaise hua hai ab ke woh halaat se mere, pahle kabhi woh is tarah anjaan toh na tha. ! Woh shehar se gaya hai toh raunaq bhi le gaya, ye shehar is tarah kabhi sunsaan toh na tha. ! Ek Pyar ki jaageer ka maalik tha main kabhi, pahle se yun hi be’sar-o saamaan toh na tha. ! Mohsin’ hum ne ishq mein paaya naffa bahut, is kaarobaar mein koi nuqsaan toh na tha. !! 

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran ye zehar piya hai

Image
Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran ye zehar piya hai, hum ne uss ke shehar ko chhoda aur aankhon ko moond liya hai. Apna ye shewa toh nahin tha apne ghum auron ko saunpen, khud toh jaagte ya sote hain usko kyon be-khwaab kiya hai. Khilqat ke aawaazen bhi thi band uske darwaaze bhi the, phir bhi uss kooche se guzre phir bhi uss ka naam liya hai. Hijr ki rutt jaanlewa thi par ghalat sabhi andaaze nikle, taaza rafaqat ke mausam tak main bhi jiya hun woh bhi jiya hai. Ek Asad tumhi tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho, warna aksar dilwalon ne dard ka raasta chhor diya hai. !!

Ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pehle

Image
Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle, hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle. Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin, aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle. Kis ne reit uraati shab mein aankhein khol ke rakhin, koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle. Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai, ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle. Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta, jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle .!!

Koi raat mere aashna mujhe yun bhi to naseeb ho

Image
Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho

Tere galey ma jo bahoun ko daal rakhte hain

Image
Tere gale mein jo baanhon ko daal rakhte hain, tujhe manaane ka kaisa kamaal rakhte hain. Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khaatir, bahut se kaam muqaddar pe taal rakhte hain. Koi bhi faisla hum soch kar nahin karte, tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain. Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni, bikharte sookhte pattey sambhaal rakhte hain. Khushi si milti hai khud ko azziyaten de kar, so jaan boojh ke dil ko nidhaal rakhte hain. Kabhi kabhi woh mujhe hans ke dekh lete hain, kabhi kabhi mera behad khyaal rakhte hain. Tumhare hijr main ye haal ho gaya apna, kisi ka khat ho usey bhi sambhaal rakhte hain. Khushi mile toh tere baad khush nahin hote, hum apni aankh mein har dum malaal rakhte hain. Zamane bhar se chhupa kar woh apne aanchal mein, mere wajood ke tukre sambhaal rakhte hain. Kuchh iss liye bhi toh behaal ho gaye hum, tumhari yaad ka behad khyaal rakhte hain. !!

Gungunate howe anchal ki hawa de mujh ko

Image
Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko, ungliyan pher ke baalon mein sula de mujh ko. Jis tarah faaltu guldaan pade rehte hain, apne ghar ke kisi kone se laga de mujh ko. Yaad kar ke mujhe takleef hi hoti hogi, ek qissa hun purana sa bhula de mujh ko. Doobte doobte aawaz teri sun jaaun, aakhiri baar toh saahil se sada de mujh ko. Main tere hijr mein chup chaap na mar jaaun kahin, main hun sakte mein aa ke rula de mujh ko. Dekh mein ho gaya badnaam kitaabon ki tarah, meri tasheer na kar ab toh jala de mujh ko. Roothna tera meri jaan liye jata hai aise naraaz na ho, hans ke dikha de mujh ko. Aur kuchh bhi nahin maanga mere maalik tujh se, uss ki galiyon mein pari khaak bana de mujh ko. Log kehte hain ki ye ishq nigal jata hai, main bhi iss ishq mein aaya hun, dua de mujh ko. Yehi auqaat hai meri tere jeewan mein Wasi koi kamzor sa lamha hun, bhula de mujh ko. !!

Meri sari zindagi ko be-samar us na kiya

Image
Meri saari zindagi ko be-samar uss ne kiya, umar meri thi magar uss ko basar uss ne kiya. Main bahut kamzor tha iss mulk mein hijrat ke baad, par mujhe iss mulk mein kamzor-tar uss ne kiya. Rehbar mera bana gumraah karne ke liye, mujh ko seedhe raaste se dar-ba-dar uss ne kiya. Shehar mein woh mo’tabar meri gawaahi se hua, phir mujhe iss shehar mein na-mo’tabar uss ne kiya. Shehar ko barbaad kar ke rakh diya uss ne shehar par ye zulm mere naam par uss ne kiya. !!

Mil hi jayega kabhi dil ko yakeen rehta hai

Image
Mil hi jaayega kabhi,   dil ko  yaqeeN rahta hai Wo isi shahr ki galiyoN mein kaheeN rahta hai Jis ki saansoN se mahakte the dar O baam tere Ae makaaN bol, kahaN ab wo makeeN rahta hai Ek zamaana tha K sab ek jagah rahtay  the Aur ab koi kaheeN, koi kaheeN rahta hai Roz milne pe bhi lagta hai ja jug beet gaye Ishq mein waqt ka ehsaas naheeN rahta hai Dil fasurdaa to hua dekh ke usko lekin Umr bhar kaun jawaaN, kaun haseeN rahta hai

Ye kehna to nahi kafi k bas pyare lagy hum ko

Image
Yeh kahna to nahi kaafi K bus pyaare lage hum ko Unhein kaise bataayein hum K woh kaise lage hum ko MakeeN the ya kisi khoyi hui jannat ki tasveereiN MakaaN us shahr ke bhoole hue sapne lage hum ko Hum un ko soch mein gum dekh kar wapas palaT aaye Woh apne dhyaan mein baithe hue achchhe lage hum ko Bahut shaffaf the jab tak K masroof-e-tamanna the Magar is kaar-e-duniya mein baRe dhabbe lage hum ko JahaaN tanha hue dil mein bhaNwar se paRne lagte hain Agar_che muddatein guzreiN kinare se lage hum ko

Khwab ke phoolon ki taabeerein purani ho gaaien

Image
Khaab ke phooloN ki taa’beereiN puraani hogayiN Khoon Thanda paR gaya aaNkhein puraani hogayiN Jis ka chehraa tha chamakte mausamoN ki aarzoo Us ki tasviireiN bhi auraaQ e Khazaani hogayiN Dil bhar aaya kaGhaz-e-khaali ki surat dekh kar Jin ko kahna tha woh sab bateiN zabaani hogayiN Jo muqaddar tha usay to rokna bus mein na tha Un ka kya karte jo baateiN naagihaani hogayiN Rahgaya "Asad" dil meiN rang-e-yad-e-raftagaN Phool menghay hogaye QabreiN puraani hogayiN

Tooti ha meri Nind magar tumko is se kya

Image
Tooti hai meri neeNd magar tumko is se kya? Bajte raheN hawaaoN se dar, tumko is se kya? Tum mauj mauj misl E sabaa ghoomte raho Kat jayeN meri soch ke par, tumko is se kya? AuroN ka haath thaamo, unheN raasta dikhaao Main bhool jaooN apna hi ghar, tumko is se kya? Abr E gurez paa ko barasne se kya gharaz Seepi meN ban na payeN gohar tumko is se kya? Le jayeN mujhko maal E Ghanimat ke saath Asad Tum ne to daal di hai sipar, tumko is se kya? Tumne to thak ke dasht meN khiime laga liye Tanha kaTe kisi ka safar, tumko is se kya?

Dil ki barbadi ka koi sila pehly se tha

Image
Dil ki barbaadi ka koi silsilaa pahle se tha Is chiraGh E shab pe altaaf E hawa pahle se tha Us ke yuN tark E muhabbat ka sabab hoga koi Ji nahi yeh maanta wo bewafaa pahle se tha DonoN apni zindagi ke chhutpute meN haiN magar Is tarah milna muQaddar me likha pahle se tha Ab to zakhm E dil namak khaar E tawajjoh hai tera Naam par jari tere harf E dua pahle se tha Raasta bhoola nahi abke parinde khushkhabar Aur kuchh ujRa hua shahr E sabaa pahle se tha Tere aane se to bas zanjeer hi badli gayi Hum asiiroN pe jafaa ka baab waa pahle se tha

Apni tanhai mere naam pe abad kare

Image
Apni tanhaayii mere naam pe abad kare Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare Dil ajab shahr K jis par bhi khula dar iska Woh musaafir ise har samt se barbaad kare Apne qaatil ki zahanat se preshan hun main Roz ek maut naye tarz ki eejaad kare Itnaa hairaaN ho meri be-talabi ke aage Wa qafas mein koi dar khud mera saiyyad kare Salb E beenaayii ke ahkaam mile hain jo kabhi Raushni chhune ki khashish koi shabzaad kare Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab to Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare Jab lahoo bol paRe uske gawaahoN ke khilaf Qaazii-E-shahr kuchh is baab mein irshaad kare Uski muTThi mein bahut roz raha mera wajood Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare