Tere galey ma jo bahoun ko daal rakhte hain

Tere gale mein jo baanhon ko daal rakhte hain,
tujhe manaane ka kaisa kamaal rakhte hain.

Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khaatir,
bahut se kaam muqaddar pe taal rakhte hain.

Koi bhi faisla hum soch kar nahin karte,
tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain.

Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni,
bikharte sookhte pattey sambhaal rakhte hain.

Khushi si milti hai khud ko azziyaten de kar,
so jaan boojh ke dil ko nidhaal rakhte hain.

Kabhi kabhi woh mujhe hans ke dekh lete hain,
kabhi kabhi mera behad khyaal rakhte hain.

Tumhare hijr main ye haal ho gaya apna,
kisi ka khat ho usey bhi sambhaal rakhte hain.

Khushi mile toh tere baad khush nahin hote,
hum apni aankh mein har dum malaal rakhte hain.

Zamane bhar se chhupa kar woh apne aanchal mein,
mere wajood ke tukre sambhaal rakhte hain.

Kuchh iss liye bhi toh behaal ho gaye hum,
tumhari yaad ka behad khyaal rakhte hain. !!

Comments

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke