Tu na dekha hai kabhi aik nazar sham ke baad

Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad
Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm
Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Mein Ne Aaise Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye
Jese Tofan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad

Shaam Se Pehle Wo Mast Apni Uranon Mein Raha
Jis Ke Hathon Mein Thay Tote Hoye Par Shaam Ke Baad

Raat Beti Tu Gine Aable Aur Phir Socha
Kon Tha Ba-is Aaghaz-e Safar Shaam Ke Baad

Tu Hai Suraj Tuje Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad

Lot Aye Na Kisi Roz Wo Aawara Mizaj
Khol Rakhte Hai Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

Comments

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke