Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran ye zehar piya hai

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran ye zehar piya hai,
hum ne uss ke shehar ko chhoda aur aankhon ko moond liya hai.

Apna ye shewa toh nahin tha apne ghum auron ko saunpen,
khud toh jaagte ya sote hain usko kyon be-khwaab kiya hai.

Khilqat ke aawaazen bhi thi band uske darwaaze bhi the,
phir bhi uss kooche se guzre phir bhi uss ka naam liya hai.

Hijr ki rutt jaanlewa thi par ghalat sabhi andaaze nikle,
taaza rafaqat ke mausam tak main bhi jiya hun woh bhi jiya hai.

Ek Asad tumhi tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho,
warna aksar dilwalon ne dard ka raasta chhor diya hai. !!

Comments

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke