Khwab ke phoolon ki taabeerein purani ho gaaien

Khaab ke phooloN ki taa’beereiN puraani hogayiN

Khoon Thanda paR gaya aaNkhein puraani hogayiN

Jis ka chehraa tha chamakte mausamoN ki aarzoo

Us ki tasviireiN bhi auraaQ e Khazaani hogayiN

Dil bhar aaya kaGhaz-e-khaali ki surat dekh kar

Jin ko kahna tha woh sab bateiN zabaani hogayiN

Jo muqaddar tha usay to rokna bus mein na tha

Un ka kya karte jo baateiN naagihaani hogayiN

Rahgaya "Asad" dil meiN rang-e-yad-e-raftagaN

Phool menghay hogaye QabreiN puraani hogayiN

Comments

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke