Aisa nahi ke un se muhabbat nahi rahi

Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi,
Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha,
Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi,
Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya,
Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi,
Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya,
Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi,
Allah jaane maut kahan mar gayi Sagar,
Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..

Comments

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke