Posts

Ye darweshon ki basti ha yahan aisa nahi ho ga

Ye darweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga, libaas-e-zindagi phat jaayega maila nahin hoga. Share bazaar ki keemat uchhalti girti rehti hai, magar ye khoon-e-muflis hai mehnga nahin hoga. Tere ehsaan ki eentein lagi hain iss imaarat mein, humara ghar tere ghar se kabhi ooncha nahin hoga. Humari dosti ke beech khudgarzi bhi shaamil hai, ye be-mausam ka phal hai ye bahut meetha nahin hoga. Puraane shehar ke logon mein ek rasm-e-murawwat hai, humare paas aa jaao kabhi dhokha nahin hoga. !!

Ye dil kabhi na muhabbat main kamyab hua

Ye dil kabhi na mohabbat mein kaamyaab hua, mujhe kharaab kiya, aap bhi kharaab hua. Ajal mein, zeest mein, turabat mein, hashr mein zaalim tere sitam ke liye main hi intekhaab hua. Nigaah-e mast ko saaqi ki kaun de ilzaam, mera naseeb ki ruswa mera shabaab hua. Humaare ishq ki dus – bees ne bhi daad na di, kisi ka husn zamaane mein intekhaab hua. Fanaa ka daava hazaaron ko tha zamaane mein, habaab* ne mujhe dekha toh aab* aab hua. !!

Khush hun ke zindagi ne koi kam kar diya

Khush hun ke zindagi ne koi kaam kar diya, mujh ko supurd-e gardish-e ayaam kar diya. Saaqi siyaah-khana-e-hasti mein dekhna, roshan charaagh kis ne sar-e shaam kar diya. Pehle mere khuloos ko dete rahe fareb, aakhir mere khuloos ko badnaam kar diya. Kitni duaayen dun teri zulf-e daraaz ko, kitna waseea silsila-e daam kar diya. Woh chashm-e mast kitni khabardaar thi ‘adam khud hosh mein rahi, humein badnaam kar diya. !!

Maikhana-e-hasti main aksar hum apna thikana bhool gaye

Maikhana-e hasti mein aksar hum apna thikaana bhool gaye, ya hosh mein jaana bhool gaye ya hosh mein aana bhool gaye. Asbaab toh ban jaate hain taqdeer ki zidd ko kya kahiye, ek jaam lo pahuncha tha hum tak hum jaam uthana bhool gaye. Aaye the bikhere zulfon ko ek roz humaare marqad par, do ashk toh tapke aankhon se, do phool chadhaana bhool gaye. Chaaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran leeje, taqreeb toh achchhi thi lekin do aankh milaana bhool gaye. Maloom nahin aaine mein chupke se hansaa tha kaun ‘adam hum jaam uthaana bhool gaye, woh saaz bajaana bhool gaye. !!

Kitni be-sakhta khata hun main

Kitni be-saakhta khata hun main, aap ki raghbat-o-razaa hun main. Maine jab saaz chhedna chaaha, khaamoshi cheekh uthi sadaa hun main. Hashr ki subah tak toh jaagunga, raat ka aakhiri diya hun main. Aap ne mujh ko khoob pehchaana, waaqayi sakht bewafaa hun main. Maine samjha tha main mohabbat hun, maine samjha tha mudda hun main. Kaash mujh ko koi bataaye ‘adam kis pariwash ki baddua hun main. !!

December phir udaas hai

Image
Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak.. Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai. Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai. Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai.. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai.. Baat Toh Kare Koi, Saath Toh Chale Koi, Khaamoshi Ka Pehra Hai, Zakhm Dil Ka Gehra Hai,  Kisi Bahut Apne Ki, Ab Mujhe Talaash Hai. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai …!

Bas ek meri baat nahi thi sab ka dard december tha

Image
Bas ek meri baat nahi thi, sab ka dard December tha. Barf ke shehar mein rehne wala ek ek fard december tha. Pichhle saal ke aakhir mein bhi hairat mein hum teeno the.. ek main tha, ek tanhaai thi, ek bedard December tha.. Apni apni himmat thi, aur apni apni kismat thi. Haath kisi ke neele the, aur peela zard December tha. Phoolon par tha sakta taari, khooshbu sehmi sehmi thi.. khouf’zada tha gulshan sara, Dehshat’gard December tha …!