Kitni be-sakhta khata hun main

Kitni be-saakhta khata hun main,
aap ki raghbat-o-razaa hun main.

Maine jab saaz chhedna chaaha,
khaamoshi cheekh uthi sadaa hun main.

Hashr ki subah tak toh jaagunga,
raat ka aakhiri diya hun main.

Aap ne mujh ko khoob pehchaana,
waaqayi sakht bewafaa hun main.

Maine samjha tha main mohabbat hun,
maine samjha tha mudda hun main.

Kaash mujh ko koi bataaye ‘adam
kis pariwash ki baddua hun main. !!

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke