Khush hun ke zindagi ne koi kam kar diya

Khush hun ke zindagi ne koi kaam kar diya,
mujh ko supurd-e gardish-e ayaam kar diya.

Saaqi siyaah-khana-e-hasti mein dekhna,
roshan charaagh kis ne sar-e shaam kar diya.

Pehle mere khuloos ko dete rahe fareb,
aakhir mere khuloos ko badnaam kar diya.

Kitni duaayen dun teri zulf-e daraaz ko,
kitna waseea silsila-e daam kar diya.

Woh chashm-e mast kitni khabardaar thi ‘adam
khud hosh mein rahi, humein badnaam kar diya. !!

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke