Posts

Showing posts from February, 2018

Mohabbaton mein kuch ese bhi haal hote hain

Image
MohabatooN meiN kuch ese bhi haal hote haiN,, khafa hooN jiN se oNhi k khayal hote haiN. machalte rehte haiN zehnooN meiN was’wasooN ki tarha,, haseeN log bhi jaaN ka wabaal hote haiN. maiN dil k zakham chopaooN teri tarha kese?? K tere paas to lafzooN k jaal hote haiN. bas aik tu hi sabab to Nahi odasi ka,, tarha tarha k dilooN ko malaal hote haiN. seyaah raat meiN jalte haiN jogNooN ki tarha,, dilooN k zakham b kitNe kamaal hote haiN…!!!

Khushiyon ki baraat adhori chor gaye ho

Image
Khushiyon Ki Baarat adhoori Chorr Gaye Ho Saajan Dil Ki Baat adhoori Chorr Gaye Ho Tum to Khud They Pyaas bujhane wale Baadal, Tum Kiyon Kr Barsaat adhoori Chorr Gaye Ho Aadhay Aadhay Kr K Meri Needein, Khwab, Meri Ek Ek Raat adhoori Chorr Gaye Ho Logon Ki Takmeel ka baa'es ban'ny Wale, Kiyon Kr Meri Zaat adhoori Chorr Gaye Ho Sadiyon Ki Sangat K Baare main Bol rahay they, Aur achanak Baat adhoori Chorr Gaye Ho…!!!

Dard kya hota hai batayn ge kisi roz

Image
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein ge kisi roz Har roz aieene sey yehi poochti hun ma Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz? Urney do in parindon ko azaad fizaon mein Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke

Image
Baaton baaton main bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh bohat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na poch

Image
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya kya dikhlaatey hain yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarha usney churaya hai mujh se haath na pooch Is tarha pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarha apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to kuch bhi nahi Asad kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

Haqiqat jan kar esi hamaqat kon karta hai

Image
Haqiqat jan kr esi hamaqat kon krta hai bhla be_faiz logon se mohabat kon krta hai btao jis tijarat men khasara hi khasara ho bina soche khasare ki tijarat kon krta hai hamen hi ghalat fehmi thi ksi k waste wrna zamane k riwajon se baghawat kon krta hai KHUDA ne sabr krne ki mujhe tofeeq bakhshi hai aray ji bhr k tarpaao, shikayat kon krta hai ksi k DIL k zakhmon pr marham rkhna zruri hai mgr is dor mein Asad, ye zehmat kon krta hai

Boht khamosh reh kar wo sadain mujhko deta tha

Image
Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta tha bary barpoor jazbon ki qabain mujko deta tha Kabhi jo dard ki aatish muje sulagnay lagti the wo apne saans ki mehki hawain mujko deta tha Wo uski chahtain b sari duniya se anokhi the reyazat khud wo krta tha jazain mujko deta tha Mery ehsas k sheron main jo dhoop barti the wo mosam ka khuda ban kr ghatain mujko deta tha Usy main ajnabi smjhi magar har mour pe wo apny naam ki sari duain mujko deta tha

Wo kisi or ki hogi to Qayamat ho gi

Image
Woh kisi or ki hogi to Qayamat ho gi, Phir kisi ko bhi kisi sa na mohobbat ho gi, usy dekhay koi aacha nahi lagta mujh ko, Us se barh kr bhi koi or muhabbat ho gi, Raat kal chaaand ko dekha to ye ehsaas hua, Woh akela hy usy meri zarurat ho gi, Ay KHUDA us ko kisi Or ka honey na dena!!!!! Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi….. Woh Kisi Aur Ki Hogi To Inayat Hogi Yu Muhabbat Ko Sakhawat Se Ukhuwat Hogi Usay Dekh Kar He Kuch Acha Nahin Lagta Mujh Ko Kuch Dair Aur Yu Dikhi To Qayamat Hogi Raat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsaas Hua Safaid Anday Mein Zardi Ki Milawat Hogi Aay KHUDA Woh Kisi Aur Ki Ho Na Paye Warna Maut Her Mard Ki Wasiyat Hogi

Mohabbat ki haseen rahon mein aksar mene dekha ha

Image
Mohabbat Ki Haseen Rahon Mein Aksar Mene Dekha Hai Jo Sathi Sath Chalte They, Bichhartey Maine Dekha Hai, Sajaatey They Barey Hi Shoq Se Khayalon Ki Haseen Duniya, Bohat Choti Si Baaton Pe Ujartey Maine Dekha Hai, Jo Kehte Thaay K Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge, Saamna Ab Ho To Chup Chap Guzartey Maine Dekha Hai, Jo Kehte Thaay Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai Unhi Rishton Ko Pal Bhar Mein Bikhartey Maine Dekha Hai.

Zillat-e-Tanai se Ghabra ke ai hon

Image
Zillat-E-Tanhai Sy Ghabra K Ai Hon ~ Main Abhi Abhi Shehr-E-Wafa Se Ai Hon ~ Kuch Dair Hawa Ko Baton Me Lgaye Rakhna ~ Main Ghar Me Ik Charagh Jala K Ai Hon ~ Uss Ne Pocha Hy Kia Ehd-E-Wafa Nibhao Ge ? ? So Hathon Me Quran Utha K Ai Hon ~ WO Chahay To Ab Muj Se Trk-E-Talluq Kr Le ~ WO Meri ZINDAGI Hy Usy Bata K Ai Hon ~ WO Ab B Mujy Ana Prast Smjhta Hy ~ ** Parveen ** Main Jisay Ro Ro Kar Mana K Ai Hun..

Kion na phir tujh sey milnay ka irada kar lon

Image
kion na phir tujh sey milny ka irada kar lon zakham ye sadiyon purana tar-o-taza kar lon phir sey keh don usey ke tum meri aqeedat ho phir sey guzra mohabaton ka eyada kar lon sonp don ab yeh shokh tabiyat os ko sochta hon ke khud ko is qadar saada kar lon ya usey pa key bhula don dard-o-gham apny ya us ke hijar ka gham aur bhi zayada kar lon woh tu har kasam hans ke torr deta hai phir naya kis tarah us sey koi waada kar lon..?

Guzray waqt ko bhula dena bhi asaan nahi hota

Image
Guzrey waqt ko bhula dena bhi aasan nahi hota, Ghamon ko hansi mein chupa lena bhi aasan nahi hota Zaroori nahi ke poori ho har khawahish lekin, Apni khawahish ko daba lena bhi aasaan nahi hota, Mana ke toote huye pholon se khushboo nahi aati, Magar unhain kitaboun mein saja lena bhi aasaan nahi hota, koi aur tere baad aa sakta ho,shayad magar, Har kisi ko dil mein jagah dena bhi aasaan nahi hota

Phir aj koi Ghazal uske naam na ho jaye

Image
Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye Kar Rahe Hain Intezar Izhar-e-Mohabbat Ka Isi Intezar Mien Kahin zindagi ki Sham Na Ho Jaye Nahi Laite Hain Uska Naam Sar?e Aam Is Darr Se Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien Uske Dil Ma Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

Koi aur usko soche tou bura lagta hai

Image
koi aur usko soche To Bura LagTa Hai Koi aur usko Dekhe To Bura LagTa Hai Meri Aankh0n Ko Sirf Tareef Uski ChahiYe Koi Acha b Keh De To Bura LagTa Hai Usko Koi Or Agar Dekhe To Ho Gawara Kese Uska Jo Naam b Le Le To Bura LagTa Hai Meri Aankh0n Main Kya So0rat Nahi Dikhti Usko Gar Agar Wo Aayina b Dekhe To Bura LagTa Hai Usko Keh Do Ke Sare-Sham Na Ghar Se Nikle Sath SaaYa b Chale Uske To Bura LagTa Hai UsSe KehDo Ke Aankh0n Main Na Surma Daale Uski Aankh0n Main Koi Or Samaye To Bura LagTa Hai Maine Khol Ke Rakh Daale Warq Sabhi Dil Ke Phir b Wo Hum Se Chupaye To Bura LagTa Hai

Kal halki halki barish thi, kal sard hawa ka raqs bhi tha

Image
Kal halki halki barish thi Kal sard hawa ka raqs bhi tha Kal phool bhi nikhray nikhray thay Kal un pe aap ka aks bhi tha Kal badal kalay gehray thay Kal chand pay lakhon pahray thay Kuch tukray aap ki yaad kay Bari dair say dil main thehray thay Kal yaadain uljhi uljhi thin Aur kal tak yeh na suljhi thin Kal yaad bohut tum aye thay Kal yaad bohut tum aye thay �

Ye barshain bhi tum si hain

Image
Ye barishain bhi tum si hain, Jo baras gayi tou bahaar hain, Jo thehar gayi tou qaraar hain, Kabhi aa gayi yunhi be’sabab, Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab, Kabhi shor hai, kabhi chup si hain, Ye barishain bhi tum si hain, Raat ko ik dabi hui si raakh ko, Kabhi yun hua ke bujha dia, Kabhi khud se khud ko jala dia, Kahin boond boond mein gum si hain, Ye barishain bhi tum si hain..

Payar ka meetha Ehsaas dilane laga Hai tu

Image
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas” Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan Ke ban ke saaya saath mere aane laga hai tu Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera Lahoo ki nas nas mein samaane laga hai tu Jaane kaun si door hai teri aurr kheench le jaati hai Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu Tasavur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey Chorr k duniya, meri baNhooN mein samaane laga hai tu Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko Bechain kar ke h

Bas itni si inayat mujh pe aik bar kijiye

Image
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye Ho jaayen begaane aap shauq se sanam Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye Karna hai ishq aapse karte rahenge hum Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye Hame na dikhaiye ye daulat ye shohrat Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

Mere lafzon ki gahrai main aksar Kamal uska tha

Image
Mere lafzon ki gahrai main aksar kamal uska tha.. ghazal meri thi magar khayal uska tha.. main shayar to na tha magar usne bana dia.. ankh shrabi hont Sagar,  chehra kammal uska tha.. main kesy maan lon k use mujh se mohabbat nahi.. bicharte waqat meri tarha ajab haal uska tha.. mujhe apne ujar jane se nahi tha sarokar koi.. main afsorda is liye tha k mujhe malal uska tha.. tanhai main bhi jo use main na kah saka.. bhari mahfil main kah geyaa yah kammal uska tha..

Ye na samaj k bichra hon to bhool gaya hon tujhe

Image
”Ye na samaj k bichra hon to bhool gaya hon tujhe ! ”Tere hathon ki khoshbo mere hathon main aaj bhi hai ! ”Ye or baat hai majboriyon ne nebhane na di dosti ! ”Warna shamil sachai meri wafaon main aaj bhi hai ! ”Mohabat say barh kar tum say aqeedat hai mujhay ay dost ! ”Yon maqam tera boland sab doston main aaj bhi hai ! ”Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon tujhe ! ”Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai

Woh shakhs kabhi dasht se guzray usay kehna

Image
Woh shakhs kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna Kehna k sumandar k kinare pe na jaye Kuch log sumandar se bhi hain gehray usay kehna Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti Darya bhi badal lete hain raasty usay kehna Kuch log safar k liye mouzu nahi hote Kuch raasty kat'tay nahi Tanha usay kehna Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona K basti k sabhi log hain behray usay kehna phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein jo dekhti hain khawab sunehry usay kehna

Bheer main aik ajnabi ka saamna acha laga

Image
Bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga… sub se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga… surmae ankhon k neechay phool se khilne lage… kehte kehte,kisi ka sochna accha laga… baat to kuch bhi nahi thi laikin uska aik dum… haath honton per rukh kar rokna accha laga… dil may kitne ahed baandhe the bhulane k usne…. woh mila to sub irade torna accha laga.. chae may cheeni milana us ghari accha laga… zare-lub wow muskurata ‘shukriya’ accha laga… is adae jan ko may bura kaise kahon… jub bhi aya saamne woh bewafa accha laga…

Wo kaisa shakhs Hai ke her Roz saza daita hai

Image
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay phir hansata hay wo itna k bhula deta hay kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay aur phir bhool k mujko b rula dayta hay us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhain? Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay khud he kehta hai na dohrao purani yadain main na dohraon to phir khud he suna deta hay khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo, aur phir khud he nayi aag laga deta hay

Wo Meri Qasam leta nahi ilzam samjh Kar

Image
“Wo meri Qasm leta nahi ilzAAm samajh kar, “Or dey deta hy apni Qasm inAAm samaj kar, Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy, Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar. Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai. Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar. Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi. Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr. Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.

Mujh ko Tera payar Teri Dosti Achi Lagi

Image
Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi. Teri Nisbat se sada Ye Zindagi Achi Lagi. Main ne Apne RAB se phir manga Tujhi ko umar bhar. Teri Aankhon ki Mujhe Dariya Dili Achi Lagi. Bhaa gayi Muskan Tere Honton ki Teri KAsAM. Teri Baton ki Mujhe Sanjeedgi Achi Lagi. Yoon tu GhazLein Bhi Likhi hAin, GeeT Bhi Main ne magar Jis Main ho BuS TuM hi TuM, Wo Shaayiri Achi LaAgi.

Sabhi jazbaat khyalat badal jaate Hain

Image
Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate’ HaiN YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate’ HaiN Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane’ KyuN Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate’ HaiN Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN Laf’z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate’ HaiN Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle’ Mohabbat Se HamaiN Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate’ HaiN Aik Sa Waq’t Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai Gardish-e-Waq’t Se Haalaat Badal Jaate’ HaiN

Main khyal houn kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai,

Image
Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai, Sar-e-aayina mera akss hai pass-e-aayina koi aur hai, Main kisi ke dasst-e-talab main hoon to kisi ke harf-e-dua main hon, Main naseeb hoon kisi aur ka mujhe maangta koi aur hai, Ajab aitbar o be-aitbari ke darmiyaan hai zindagi, Main qareeb hoon kisi aur ke mujhe janta koi aur hai, Meri roshni tere khadh-o-haal se mukhtalif to nahin magar, Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai, Tujh dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin, Teri daastaan koi aur thi mera waqeya koi aur hai, Wohi munsifon ki riwayeten wohi faislon ki ibaarten, Mera jurm to koi aur tha pr meri saza koi aur hai, Kabhi laut aayen to poochna nahin, dekhna unhe ghaur se, Jinhe raaste main khabar hui ke yeh rasta koi aur hai, Jo meri riyazat-e-neem-shab ko ‘saleem’ subh na mil saki, To phir is ke maani to yeh huye ke yahan mamlaa koi aur hai..

Dil main aur to Kya rakha hai

Image
Dil main aur to kya rakha hai, Tera dard chupaa rakha hai, Itne dukhon ki tez hawaa main, Dil ka deep jalaa rakha hai, Dhoop se chehron ne duniya main, Kya andher machaa rakha hai, Is nagrii ke kuch logon ne, Dukh ka naam davaa rakha hai, Vaaada-e-yaaar ki baat na cherro, Yeh dhoka bhi khaa rakha hai, Bhool bhi jao beeti baaten, In baaton main kya rakha hai, Chup chup kyun rehte ho ‘Asad’, Kya yeh rog laga rakha hai..

Ja ke phir Laut jo aye wo zamana kesa

Image
Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa, Teri aankhon ne yeh chairra hai fasaana kesa, Aankh sharamsaar-e-tamanna hai, tu vada kar le, Chaal kehti hai ke ab laut ke aana kesa, Mujh se kehta tha ke saaye ki tarah saath hain hum, Yuun na milne ka nikaala hai bahaana kesa, Khud bhi socha tha bohat, us ne bhi pucha tha bohat, Haal jab khud hi na samjhe to sunaana kesa, Tujh ko paanay ki havass thi, so kise maloom tha, Apne hi aap ko kho bethen ge, tujh ko paana kesa..

Charha howa Tha Jo darya utar Gaya kab ka

Image
Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha Tumhain Khabar He Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka “Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka …

Rait par likh Kar Mera naam mitaya na Karo,

Image
Rait par likh k mera naam mitaya na karo  Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo  Log har baat ka afsana bana lete hain  Sab ko halaat ki rodaad sunaya na karo  Yeh zarori nahin har shaks masiha hi ho  Pyar k zakhm amanat hain dekhaya na karo  Shehar_e_ehsaas main pathrao bohot hain Mohsin  Dil ko shishe k jharokoon main sajaya na karo  Rait par likh k mera naam mitaya na karo  Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo

Is se agay to bas la-makaan reh geya

Image
Is se aagay to bas la-makaaan reh geya, yeh safar bhi mera raayegaan reh geya, Ho gaye apne jismon se bhi be-neyaaz, Aur phir bhi koi darmiyaan reh geya, Raakh pairon se jharrti gayi umar ki, Saans ki naaliyon main dhuaan reh geya, Ab to raasta bataane pe mamuur hoon, Be-haddaf teer tha be-kamaaan reh geya, Jab palat hi chale ho to ae deeda-varo, Mujh ko bhi dekhna main kahan reh geya, Mit geya hoon kisi aur ki qabar main, Mera katbaa kahin be-nishaan reh geya..

Hum hi main thi koi baat, yaad na tum ko aa sake

Image
Hum hi main thi koi baat yaad na tum ko aa sake, Tum ne humen bhulaa diya hum na tumhe bhulaa sake, Tum hi na sun sake agar qissa -e- gham sunay ga kon, Kis ki zabaan khule gi phir hum na agar sunaa sake, Hosh main aa chuke thay hum josh main aa chuke thay hum, Bazm ka rang dekh kar sar na magar uthaa sake, Ronaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayaten rahin, Dil main shikayaten rahin lab na magar hilaa sake, Shauq-e-visaal hai yahan lab pe sawal hai yahan, Kisi ki majaal hai yahan hum se nazar mila sake, Aesa ho koi nama-e-bar baat pe kaan dhar sake, Sun ke yaqeen kar sake ja ke unhe sunaa sake, Ajazz se aur barrh gayi barhami mizaj-e-dost, Ab woh kare ilaaj dost jis ki samajh main aa sake, Ehl-e-zabaan to hain bohat koi nahin hai ehl-e-dil, Kon teri tarah Asad dard ke geet gaa sake..

Dou chaar gaam raah ko hamvaar dekhna

Image
Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna, Phir har qadam pe ik nayi deewar dekhna, Aankhon ki raushni se hai har sang aayina, Har aayine main khud ko gunaahgaar dekhna, Har aadmi main hote hain dass bees aadmi, Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna, Maidaan ki haar jeet to qismat ki baat hai, Tuuti hai kis ke haath main talvaar dekhna, Dariyaa ke is kinaare sitaare bhi phool bhi, Dariyaa charrhaa hua ho to us paar dekhna, Achi nahin hai sheher ke raston se dosti, Aangan main phail jaaye na bazaar dekhna..

Ashiq the sheher main jo purane sharab ke

Image
Ashiq thay sheher main jo puraane sharaab ke, Hain un ke dil main vaswasay ab ehtisaab ke, Woh jo tumhare hath se aa kar nikal geya, Hum bhi qaatil hain ussi khana-kharab ke, Phoolon ki saij par zara araam kya kiya, Us gul–badan pe naqssh uth aaye gulaab ke, Soye to dil main ek jahan jaagne laga, Jaage to apni aankh main jaale they khawb ke, Bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhe, Dariya ravaan-davaan hain chamakte saraab ke, Kis tarah jamaa kijiye ab apne aap ko, Kaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke..

Kahan tak jafa husn walon ki sehtay

Image
Kahan tak jafaa husn walon ki sehtay, Jawani jo rehti to phir hum na rehte, Lahuu tha tamanna ka ansuu nahin thay, Bahaye na jaate to hargiz na behtay, Wafaa bhi na hota to acha tha wada, Gharri do gharri to kabhi shaad rehtay, Main jagoon ga kab tak woh soyen ge taa-kay, Kabhi cheekh uthoon ga gham sehtay sehtay, Bataate hain ansuu ke ab dil nahin hai, Jo paani na hota to dariyaa na behtay, Zamaana barre shauq se sun raha tha, Hameen so gaye daastaan kehtay kehtay, Koi naqsh aur koi deewaar samjha, Zamaana hua mujh ko chup rehtay rehtay, Meri naao is gham ke dariyaa main Asad, Kinaaray pe akhir aa hi lagi behtay behtay..

Ranjish hi sahi, Dil hi dukhane k liye aa

Image
Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa, Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa, Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh, Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aaa, Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to, Rasm-o-raaah-e-duniyaaa hi nibhaane ke liye aaa, Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum, tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aaa, Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom, Ae rahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aaa, Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden, Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aaa..