Boht khamosh reh kar wo sadain mujhko deta tha

Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta tha
bary barpoor jazbon ki qabain mujko deta tha

Kabhi jo dard ki aatish muje sulagnay lagti the
wo apne saans ki mehki hawain mujko deta tha

Wo uski chahtain b sari duniya se anokhi the
reyazat khud wo krta tha jazain mujko deta tha

Mery ehsas k sheron main jo dhoop barti the
wo mosam ka khuda ban kr ghatain mujko deta tha

Usy main ajnabi smjhi magar har mour pe
wo apny naam ki sari duain mujko deta tha

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke