Is se agay to bas la-makaan reh geya

Is se aagay to bas la-makaaan reh geya,
yeh safar bhi mera raayegaan reh geya,
Ho gaye apne jismon se bhi be-neyaaz,
Aur phir bhi koi darmiyaan reh geya,
Raakh pairon se jharrti gayi umar ki,
Saans ki naaliyon main dhuaan reh geya,
Ab to raasta bataane pe mamuur hoon,
Be-haddaf teer tha be-kamaaan reh geya,
Jab palat hi chale ho to ae deeda-varo,
Mujh ko bhi dekhna main kahan reh geya,
Mit geya hoon kisi aur ki qabar main,
Mera katbaa kahin be-nishaan reh geya..

Popular posts from this blog

Mohabbat ki kahani mein koi tarmeem mat karna

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke