Rait par likh Kar Mera naam mitaya na Karo,
Rait par likh k mera naam mitaya na karo
Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo
Log har baat ka afsana bana lete hain
Sab ko halaat ki rodaad sunaya na karo
Yeh zarori nahin har shaks masiha hi ho
Pyar k zakhm amanat hain dekhaya na karo
Shehar_e_ehsaas main pathrao bohot hain Mohsin
Dil ko shishe k jharokoon main sajaya na karo
Rait par likh k mera naam mitaya na karo
Aankheen sach bolti hain pyar chupaya na karo