Posts

Tu na dekha hai kabhi aik nazar sham ke baad

Image
Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad Itne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad Mein Ne Aaise Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye Jese Tofan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad Shaam Se Pehle Wo Mast Apni Uranon Mein Raha Jis Ke Hathon Mein Thay Tote Hoye Par Shaam Ke Baad Raat Beti Tu Gine Aable Aur Phir Socha Kon Tha Ba-is Aaghaz-e Safar Shaam Ke Baad Tu Hai Suraj Tuje Maloom Kahan Raat Ka Dukh Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad Lot Aye Na Kisi Roz Wo Aawara Mizaj Khol Rakhte Hai Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

Gar dua bhi koi cheez hai to dua ke hawale kiya

Image
Gar Dua Bhi Koi Cheez Hai Tu Dua Ke Hawale Kiya Ja Tuje Aaj Se Ham Ne Apne Khuda Ke Hawale Kiya Aik Mudat Hoyi Ham Ne Dunya Ki Har Zid Chor Di Aik Mudat Hoyi Ham Ne Dil Ko Wafa Ke Hawale Kiya Is Tarah Ham Ne Teri Mohabat Zamane Ke Hathon Mein Di Jis Tarah Gul Ne Khushbu Ko Bad-e Saba Ke Hawale Kiya Bay-Basi Se Ajab Zindagi Mein Ik Aesi Bhi Ayi Keh Jab Ham Ne Chup Chap Hathon Ko Rasm-e Hina Ke Hawale Kiya Khoon Ne Teri Yaadain Sulagti Hoyi Raat Ko Sonp Den Aansuon Ne Tera Dard Rokhi Hawa Ke Hawale Kiya

Aisa nahi ke un se muhabbat nahi rahi

Image
Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi, Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi, Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha, Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi, Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya, Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi, Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya, Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi, Allah jaane maut kahan mar gayi Sagar, Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..

Andheron main bhatakna hai pereshani main rehna hai

Image
Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai, Main jugnuu hoon mujhe ik shab ki veerani main rehna hai, Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai, Abhi ashkon ko palkon ki nigehbaani main rehna hai, Jo manzar rubaru hai dekh luun ik baar jee bhar ke, Phir is ke baad to aankhon ko hairaani main rehna hai, Teri wehshat samajhta hoon ae meri aarzuu lekin, Tujhe kuch din abhi is dil ki veerani main rehna hai, Tu phir kyun laut kar har baar aa jati hai saahil pr, Agar in kashtiyon ko umar bhar paani main rehna hai, Issi umeed pr to kaat leen yeh mushkilen hum ne, Ab is ke baad to ae ‘sagar‘ aasaani main rehna hai..

Safar ma dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

Image
Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo, Kisi ke vaastay raahen kahan badalti hain, Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo, Yahan kisi ko koi rasta nahin deta, Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo, Kahin nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa, Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo, Yehi hai zindagi kuch khawb, chand umeeden, Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..

Tamam umar jale magar raushni nahi ki

Image
Tamaam umar jale magar raushni nahin ki, Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ji, Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain, Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki, Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya, Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki, Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir, Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki, Meri sipaah se duniya larazne lagi hai, Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki, Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon Asad, Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki..

Tu mujh ko jo is sheher main laya nahi hota

Image
Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota, Main be-saro-samaan kabhi ruswaa nahin hota, Us ki to yeh aadat hai kissi ka nahin hota, Phir is main ajab kya ke hamara nahin hota, Kuch pairr bhi be-faiz hain is rahguzar main, Kuch dhoop bhi aesi hai ke saaya nahin hota, Khawbon main jo ik sheher bana deta hai mujh ko, Jab aankh khuli ho to woh chehra nahin hota, Kiss ki hai yeh tasveer jo banti nahin mujh se, Main kis ka taqaaza hoon ke pura nahin hota, Main sheher main kis shakhss ko jeene ki dua doon, Jeena bhi to sab ke liye acha nahin hota..