Posts

Wo phir se laut aya hai judaiyon ka sodagar (December)

Image
 وہ پھر سے لوٹ آیا ہے جدائیوں کا سوداگر پلکوں پہ آنسو سجانے، سانسوں میں آگ لگانے دِلوں میں درد جگانے، یادوں کی روانی بڑھانے چاہتوں کو ستانے،محبتوں کو رُلانے وہ پھر سے لوٹ آیا ہے غموں کا سوداگر لیکن اب کے بار تیری چالوں میں ہم نہ آئیں گے اب کے بار ہم سارے وعدے نبھائیں گے تیری سرد شاموں میں ہم اپنی باہیں سجائیں گے تیری نرم دھوپ میں ہم پرانے قصے دہرائیں گے گرتی ہوئی برف میں ہم اسی سے گڈے بنائیں گے پھر اپنے ہی ہاتھوں سے انہیں بے دردی سے گرائیں گے تیری ستم گری میں ہم دنیا کو مسکرا کر دکھائیں گے اور پھر زمانے کو خود تیرے وصال کی خبر سنائیں گے اگلی دفعہ جدائی کا غم نہیں، دسمبر تیری برسی منائیں گے

Ek Bhoolay Howe Musafir Ko

Image
Ek Bhooly Howe Musafir Ko Manzil Ka Nishan Dikhaya Q Tha Agr Sath Nai Chalna Tha To Ye Rasta Bataya Q Tha Ab Tak Bhatak Raha Ha Dar Ba Dar Thikany Ki Tlash Ma Wo Do Qadam Sath Reh Kar Usko Sai Pata Bhulaya Q Tha Nai Ha Maloom K Kahan Khara Ha Or Kahan Jana Ha Usko Na Tha Hosla Manzil Tk Puhnchny Ka To Gar Se Nikla Q Tha Ab Us K Muskarany Ki Tammana Ly Kr Q Bethy Ho Yahan Nai Dakh Sakty Gham_zada  Usko To Dard Dy Kr Rolaya Q Tha Kuch Nai Kehta Bs Yei Shabd Jaari Hn Ab Uski Zuban Se "Asad" K Doran-e-Safar Us Harjai Ki Baton Ma Aaya Q Tha 

Mohabbaton mein kuch ese bhi haal hote hain

Image
MohabatooN meiN kuch ese bhi haal hote haiN,, khafa hooN jiN se oNhi k khayal hote haiN. machalte rehte haiN zehnooN meiN was’wasooN ki tarha,, haseeN log bhi jaaN ka wabaal hote haiN. maiN dil k zakham chopaooN teri tarha kese?? K tere paas to lafzooN k jaal hote haiN. bas aik tu hi sabab to Nahi odasi ka,, tarha tarha k dilooN ko malaal hote haiN. seyaah raat meiN jalte haiN jogNooN ki tarha,, dilooN k zakham b kitNe kamaal hote haiN…!!!

Khushiyon ki baraat adhori chor gaye ho

Image
Khushiyon Ki Baarat adhoori Chorr Gaye Ho Saajan Dil Ki Baat adhoori Chorr Gaye Ho Tum to Khud They Pyaas bujhane wale Baadal, Tum Kiyon Kr Barsaat adhoori Chorr Gaye Ho Aadhay Aadhay Kr K Meri Needein, Khwab, Meri Ek Ek Raat adhoori Chorr Gaye Ho Logon Ki Takmeel ka baa'es ban'ny Wale, Kiyon Kr Meri Zaat adhoori Chorr Gaye Ho Sadiyon Ki Sangat K Baare main Bol rahay they, Aur achanak Baat adhoori Chorr Gaye Ho…!!!

Dard kya hota hai batayn ge kisi roz

Image
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein ge kisi roz Har roz aieene sey yehi poochti hun ma Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz? Urney do in parindon ko azaad fizaon mein Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

Baton baton main bicharney ka ishara kar ke

Image
Baaton baaton main bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh bohat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na poch

Image
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya kya dikhlaatey hain yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarha usney churaya hai mujh se haath na pooch Is tarha pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarha apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to kuch bhi nahi Asad kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch