Posts

Justaju khoye huyon ki umer bhar karte rahe

Justaju khoye huyon ki umer bhar karte rahe Chand ke humrah hum har shab safar karte rahe Raston ka ilm tha na hum ko simton ki khabar Shehar e na maaloom ki chahut magar karte rahe Hum ne khood se bhi chupaya aur sare shehar ko Tere jane ki khabar diwar o dar karte rahe Woh na aaye ga hamein maloom tha us shab bhi Intezaar us ka magar kuch soch kar karte rahe Aaj aaya hai hamein bhi un uranon ka kheyal Jin ko tere zum mein be baal o par karte rahe

Sarakta jaye ha rukh se naqab ahista ahista

Sarakta jaye hai ruḳh se naqāb āhista āhista nikaltā aa rahā hai āftāb āhista āhista javāñ hone lage jab vo to ham se kar liyā parda hayā yak-laḳht aa.ī aur shabāb āhista āhista shab-e-furqat kā jaagā huuñ farishto ab to sone do kabhī fursat meñ kar lenā hisāb āhista āhista savāl-e-vasl par un ko auron kā ḳhauf hai itnā dabe hoñToñ se dete haiñ javāb āhista āhista vo bedardī se sar kāTeñ 'Asad' aur maiñ kahūñ un se huzūr āhista āhista janāb āhista āhista 

Seenay ma jalan ankhon ma toofan sa kion ha

Seenay meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān sā kyuuñ hai is shahr meñ har shaḳhs pareshān sā kyuuñ hai dil hai to dhaḌakne kā bahāna koī DhūñDe patthar kī tarah be-his o be-jān sā kyuuñ hai tanhā.ī kī ye kaun sī manzil hai rafīqo tā-hadd-e-nazar ek bayābān sā kyuuñ hai ham ne to koī baat nikālī nahīñ ġham kī vo zūd-pashemān pashemān sā kyuuñ hai kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ ā.īna hameñ dekh ke hairān sā kyuuñ hai 

Sitaron se agy jahan aur bhi hen

sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū par chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ agar kho gayā ik nasheman to kyā ġham maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jā ki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñ yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ

Suna ha log usy ankh bhar k dakhtay hen...

sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ sunā h

Tere aney ka dhoka sa raha ha

Tere aane kā dhokā sā rahā hai diyā sā raat bhar jaltā rahā hai ajab hai raat se āñkhoñ kā aalam ye dariyā raat bhar charhtā rahā hai sunā hai raat bhar barsā hai bādal magar vo shahr jo pyāsā rahā hai vo koī dost thā achchhe dinoñ kā jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai kese DhūñDoge in galiyoñ meñ usey "sagar" chalo ab ghar chaleñ din jā rahā hai 

Bhool shayad boht bari kar li

Bhool shayad bahut bari kar li, dil ne duniya se dosti kar li. Tum mohabbat ko khel kehte ho, hum ne barbaad zindagi kar li. Uss ne dekha bari inaayat se, aankhon aankhon mein baat bhi kar li. Aashiqi mein bahut zaroori hai, bewafaai kabhi kabhi kar li. Hum nahin jaante chiraaghon ne, kyon andheron se dosti kar li. Dharkanen dafan ho gayi hongi, dil mein deewar kyon khari kar li. !!